Friday, 27 January 2017

Badnaami

Zamane ne Aansuon ko badnaam kia,,,,, par dosh to meri aankhon ka tha
.
Zamane ne Andhere ko badnaam kia,,, par zakhm ko to Ujaale ne dikhlaya tha,,
.
Zamane ne kaanton ko badnaam kia,,,,, par dosh to mere kadmon ka tha
.
Zamane ne Gum ko badnaam kia,,,,,par dosh to khushiyon k Ruth jane ka tha
.
Zamane ne mohabbat ko badnaam kia,,, par dosh to radhe krishna ki pooja me tha
.
Zamane ne Darr ko badnaam kia,,, par dosh to Kamzoriyon me tha
.
Zamane ne dhoke ko badnaam kia,,,,,, par dosh to khwahishon ka tha
.
Zamane ne haar ko badnaam kia,,,, par dosh to ladne ki adat me tha
.
Zamane ne Ghunghruyon ko badnaam kia,,,,,,,,,par dosh to piroye-dhaage ka tha
.
Zamane ne kothe ko badnaam kia,,,,, par dosh to shareefon k shaukh me tha
.
Zamane ne Maykhane ko badnaam kia,,,,, par Khuda to har kone me basta tha
.
Zamane ne Balatkar ko badnaam kia,,,, par dosh to soch aur parvarish ka tha
.
Zamane ne Dharm ko badnaam kia,,,, kyunki shak usse khud k wajood pe tha
.
Zamane ne maut ko badnaam kia,,,,,, par sath to usne he nibhaya tha
.
Zamane ne na jane kya-kya badnaam kiya,,,, kis kisko badnaam karke barbaad kia
.
Hehehhehe ab to me bhi,,,,,
Darta hu kiske bhesh me ayega Zamana mjhse shayari arz karwane ko,,,,,kyunki bachi hai abhi bhi mehfil meri badnaami se