Zinda hai tu aaj bhi kahin,,,, Ae mohabbat yakeen hai mujhe
.
Dhadkano ki gunj main zinda hai tu,,, Ae mohabbat yakeen hai mujhe
.
Hawaon ki khushboo main zinda hai tu,,, Raat k sannaton main zinda hai tu,,, ae mohabbat yakeen hai mujhe
.
Ek unkahe ehsaas main tu zinda hai,,, ek dard k undikhe libaas main zinda hai tu,,, ae mohabbat yakeen hai mujhe
.
Aankhon main basi tasveer main zinda hai tu,,, dil main basi ik yaadon ki kitaab main zinda hai tu,,, ae mohabbat yakeen hai mujhe
.
Ik bewjah k intezaar main,,, ik khamosh ikraar main zinda hai tu,,,, ik bheed ki khamoshi main zinda hai tu,, ae mohabbat yakeen hai mujhe
.
Ik shayar ki adhuri gazal main,,, ik dil k tootne ki awaz main,,,,, ik labon ki jhuti muskurahat main zinda hai tu,,, ae mohabbat yakeen hai mujhe
.
Ik zakhmon ki dastan main,,, ik mehfil ki numaaish main zinda hai tu,, Ae mohabbat yakeen hai mujhe
.
Dil k ik kone main chipkar basi hai,,, Dard ki chadar oodhe,,, ashkon ko chipaaye tu zinda hai,,,, Ae mohabbat yakeen hai mujhe
.
Ik dilon k khamosh faaslon main,,,, sach aur jhut ki kahaniyon main zinda hai tu,,, Ae mohabbat yakeen hai mujhe
.
Yaaken hai ki ye ehsaas bewajah hai,,, tu kabhi puri na ho paegi,,,, ussi yakeen main zinda rahegi tu,,, Ae mohabbat yakeen hai mujhe.........
Monday, 2 October 2017
Zinda Hai Tu
Subscribe to:
Comments (Atom)