Kisi shaam tu jab sawan ki bundon si mujhse takraegi ,,,,,patJhad k toote patton sa awaz karta main tujhe batlanga
.
Ki aaj bhi tere bheege badan k tassvur ki garmiyaan mujhe bheega jaati hai
.
Ki Aaj bhi teri samandar si aankhon ki gehrayion me,,,,,main aksar doob jaya karta hu
.
Aaj bhi raat ki gehri nind ki kahaniyon main tujhe yaadkar ,,,,muskura liya karta hu
.
Aaj bhi teri aadton ko ,,,,kisi hasi nazm sa gunguna liya karta hu
.
Kisi roz jab tu takraegi,,,,,,to adhuri kitaab k panno ki kashtiyaan banakar main tujhe batlanga
.
Ki teri yaadon se,,,, is kadar mohabbat nibha raha hu main,,,,,ki ab tere lautkar aa jane ka gam sata raha hai mujhe
.
Mehfilon main teri yaadon ki gazlon main kuch is kadar doob gaya hu main,,,,,ki ab tere wajood ki kami mehsus he nahi hoti
.
Zamana aaj bhi mujhe tere naam se badnaam karta hai,,,,,par tu fikra na kar,,,, ye gaalib aaj bhi tujhe ik hasi khwab sa karta hai
.
Kyunki teri mohhabat main,,,, ek afsana tha kisi manzil ka,,,,par tu he toh manzil thi,,,, is kaafir k afsaane ki
.
Dua hai khuda se ki tu kabhi lautkar na aae,,,,,kabhi koi shaam meri tujhse na takraaye
.
Kyunki us mulakat main teri yaadon par likhi gazlon ko toh shayad bayan kar janga
.
Par kammbakht wo mohabbat jis par sirf mera hak hai,,,, usse bewafai ki ik khata kar janga
.
Wada hai mera tujhse ae qaatil ki jab bhi tu apni zindagi ki kitaab ko kisiko sunaega,,,,,mere hisse ki kahani tu apno labon se nahi apne ashkon se sunaega
.
Kyunki aaj bhi zamana zikra tera,,, tere husn se nahi,,,,meri paak mohabbat se,,,,meri gazlon se kiya karta hai
.
Tujhe aaj bhi zamana mere naam se yaad kiya karta hai.
Friday, 6 September 2019
Tera zikra
Friday, 5 April 2019
Kya Hai Zindagi
Raat k ghane andhere si ye zindagi,,, kabhi dhup si to kabhi chaanv si ye zindagi
.
Kuch galat faislon se bani zindagi,,,,, to kabhi unhi faislon main khushi dhundna hai zindagi
.
Wajood ki wajah dhundna hai zindagi,,,, jo wajah na mile to ek unchaha sawal hai zindagi
.
Jo bhul jae zamane ko to kamal hai zindagi,,,,,, jo na bhule to muskrate chehro par nam aankhon si hai zindagi
.
Sach aur jhut ki bhul bhulaiya hai zindagi,,,,, kaun apna hai kaun paraya hai iska khel hai zindagi
.
Umar k kai padaav hai zindagi,,,,,, har padaav par naya naam,, nai pehchan ek naya kirdaar hai zindagi
.
Bina awaaz kare Waqt k pahiye si ghumati ye zindagi,,,,,,, har mod par kada imtihaan hai zindagi
.
Jo wazan hai jeb main to bheed hai warna gehare sannaton ka naam hai zindagi
.
Jo mashoor hai to chamakati mehfil hai zindagi,,, warna ek gumshuda shayar ki gazal si hai zindagi
.
Kabhi socha hai kya,, ki kaha shuruat aur kaha aant hai zindagi
.
Jo koi samajh jao to ikhtilaa kar dena,,, main kaafir sa pahuchnga ye puchne ki,,, kya hai zindagi
Wednesday, 2 January 2019
Raakh
Wo loot raha tha,,, main lut raha tha
.
Wo khel raha tha,,, main dekh raha tha
.
Wo ruth raha tha,,, main mana raha tha
.
Wo jeet raha tha,,, main kharch ho raha tha
.
Wo waqt kaat raha tha,,,main sapne jod raha tha
.
Wo rishton ki baat kar raha tha,,, main rishte bhul raha tha
.
Wo aag laga raha tha,,, main sab kuch jalte dekh raha tha
.
Wo ab ja raha tha,,, main dhuan uthate dekh raha tha
.
Wo ja chuka hai,,, main rakh main rishte khoj raha tha
.
Wo ab yaad nai karta,,, sab to jal gaya ab kisse main yaad karu
.
Wo aaj badal gaya hai,,, kyunki mera sab kuch jal gaya hai
.
Wo aaj sab baatien bhul jaane ki baat karta hai,,, sabse rishta phir banane ki baat karta hai
.
Main raakh k dher par khade muskurata usko duaien de raha hu,,,ki,,
.
Mere kitaab k panne to kaale kar gaye tum,,, khuda teri kitaab main mere hisse ki bhi Jannat likhe.