Wednesday, 2 January 2019

Raakh

Wo loot raha tha,,, main lut raha tha
.
Wo khel raha tha,,, main dekh raha tha
.
Wo ruth raha tha,,, main mana raha tha
.
Wo jeet raha tha,,, main kharch ho raha tha
.
Wo waqt kaat raha tha,,,main sapne jod raha tha
.
Wo rishton ki baat kar raha tha,,, main rishte bhul raha tha
.
Wo aag laga raha tha,,, main sab kuch jalte dekh raha tha
.
Wo ab ja raha tha,,, main dhuan uthate dekh raha tha
.
Wo ja chuka hai,,, main rakh main rishte khoj raha tha
.
Wo ab yaad nai karta,,, sab to jal gaya ab kisse main yaad karu
.
Wo aaj badal gaya hai,,, kyunki mera sab kuch jal gaya hai
.
Wo  aaj sab baatien bhul jaane ki baat karta hai,,, sabse rishta phir banane ki baat karta hai
.
Main raakh k dher par khade muskurata usko duaien de raha hu,,,ki,,
.
Mere kitaab k panne to kaale kar gaye tum,,, khuda teri kitaab main mere hisse ki bhi Jannat likhe.