Friday, 6 September 2019

Tera zikra

Kisi shaam tu jab sawan ki bundon si mujhse takraegi ,,,,,patJhad k toote patton sa awaz karta main tujhe batlanga
.
Ki aaj bhi tere bheege badan k tassvur ki garmiyaan mujhe bheega jaati hai
.
Ki Aaj bhi teri samandar si aankhon ki gehrayion me,,,,,main aksar doob jaya karta hu
.
Aaj bhi raat ki gehri nind ki kahaniyon main tujhe yaadkar ,,,,muskura liya karta hu
.
Aaj bhi teri aadton ko ,,,,kisi hasi nazm sa gunguna liya karta hu
.
Kisi roz jab tu takraegi,,,,,,to adhuri kitaab k panno ki kashtiyaan banakar main tujhe batlanga
.
Ki teri yaadon se,,,, is kadar mohabbat nibha raha hu main,,,,,ki ab tere lautkar aa jane ka gam sata raha hai mujhe
.
Mehfilon main teri yaadon ki gazlon main kuch is kadar doob gaya hu main,,,,,ki ab tere wajood ki kami mehsus he nahi hoti
.
Zamana aaj bhi mujhe tere naam se badnaam karta hai,,,,,par tu fikra na kar,,,, ye gaalib aaj bhi tujhe ik hasi khwab sa karta hai
.
Kyunki teri mohhabat main,,,,  ek afsana tha kisi manzil ka,,,,par tu he toh manzil thi,,,, is kaafir k afsaane ki
.
Dua hai khuda se ki tu kabhi lautkar na aae,,,,,kabhi koi shaam meri tujhse na takraaye
.
Kyunki us mulakat main teri yaadon par likhi gazlon ko toh shayad bayan kar janga
.
Par kammbakht wo mohabbat jis par sirf mera hak hai,,,, usse bewafai ki ik khata kar janga
.
Wada hai mera tujhse ae qaatil ki jab bhi tu apni zindagi ki kitaab ko kisiko sunaega,,,,,mere hisse ki kahani tu apno labon se nahi apne ashkon se sunaega
.
Kyunki aaj bhi zamana zikra tera,,, tere husn se nahi,,,,meri paak mohabbat se,,,,meri gazlon se kiya karta hai
.
Tujhe aaj bhi zamana mere naam se yaad kiya karta hai.