Wednesday, 18 October 2023

Jayaz

 Tu zehan main hai par zindagi main nahin

.

Tu ashkon main hai par ashkon ki wajah nahi

.

Tu yaadon main hai par khwahishon main nahi

.

Tu meri gazlon main hai par zikra main nahi

.

Tu mera kal hai par aaj main nahin

.

Kisi aur ka hu main ab isliye

.

Teri yaad ab mere liye Jayaz nahi.

Saturday, 7 October 2023

Parizaade-E-Parvaaz

 Tera akss Parizaad sa

.

Mera dil Parizaad-e-parvaaz sa

.

Kuch yu rakeeb-e-mulaqat hui barsaat main

.

Ki Gulistaan bana mera Firdaus sa…….