.
Jinme kisse toh kai hote hai par aap unhe yaad nahi karna chahte, dauhrana nahi chahte,
.
Kisse jinki shuruwat bahut haseen hoti hai par anjaam ek zakhm ki tarah hota hai,
.
Zakhm jo dikhai toh nahi dete par dard bankar dil ki tijori main naasur ki chadar odhe ehsaas ki tarah kaid rehte hai,
.
Aisa Ehsaas jinka zikra zehan main toh hota hai par wo alfaaz k jugnu dhundh kar kabhi gazal bankar labon par nahi aa pate,
.
Har shaqs ki zindagi ki ik aisi kitaab jiske kuch panne wo yaad nahi karna chahta ya dauhrana nahi chahta,
.
Jin kitaabon ko Gaalib mile wo kisse Mashoor ho gaye aur jinhe Gaalib na mila wo kitaabon main he dafna hokar rah gaye,
.
Kuch kahaniyan hai dark main rakhi ek kitaab main jinki gazlien hum gungunana nahi chahte.
No comments:
Post a Comment