Monday, 26 June 2017

Ehsaas

Aaj baarish hui to jana ki,,,
Bheegne ka ehsaas kya hota hai
.
Aaj jo Dhup lagi to jana ki,,,
Chhanv ka ehsaas kya hota hai
.
Tumse mohabbat hui to jana ki,,,
Kisike khaas hone ka ehsaas kya hota hai
.
Tum jo duur gae to jana ki,,,
Tanhaai ka ehsaas kya hota hai
.
Tum jo ruthe to jana ki,,,,
Ki ashkon ka ehsaas kaisa hota hai
.
Jab Dil toota to jana ki,,,
Khamosh Dard ka ehsaas kaisa hota hai
.
Jab zaam labon ko lagaya to jana ki,,,,
Gum main dubi hansi ka ehsaas kya hota hai
.
Jab dil ki baat zubaan par aai to jana ki,,,
Mehfil ka ehsaas kya hota hai
.
Aaj jab sath,,, na Mohabbat hai,,, na he Nafrat,,, na to zaam aur na he Mehfil to jana ki,,,,,
Zindagi ka ehsaas kya hota hai.....

No comments:

Post a Comment