Ek gila hai khuda tujhse,,,, kabhi to akar mil mujhse
.
Teri he banayi duniya mai rehta hu main,,, kya batlau kaise jeeta hu main
.
Zameen par akela bhej dia tune mujhe,,, ek baar sang chalkar to dekh mere raste
.
Teri dhup se gila na thi mujhe,,,,, par kabhi chanv bhi to na di thi tune mujhe
.
Sharafat se jine ko kaha mujhe,,,,,phir kyu ladani padi mahabharat tujhe
.
Tune insaan banakar bheja,,,, yaha to mazhab k naam par kaat diya gaya mujhe
.
Tune kaha main dil me basta hu sabke,,,,, to phir galtiyaan kyu ho jaati hai mujhse
.
Tune kaha tu sath hai mere,,,,,, phir bhi jhoot ko jeetne diya mujhse
.
Tune kaha jhut ka sahara na le,,,, ye adat to virasat main mili hai tujhse
.
Kitaabon kehti hai duniya farebi hai,,,, main kehta hu banayi he farebi ne hai
.
Taras ata hai zamane par mujhe,,,,, jisse dekha he nai uske liye kaat diya mujhe
.
Pathar par bharosa karne wala,,,,,pathar he marega tujhe
.
Ek chadar chadane wala,,, sirf kafan he de paega tujhe
.
Jo khud bandhe haath deewar par latka ho,,,,,,,wo kya suli se bachega tujhe
.
Tu rehane de mere khuda,,,,,, tujhse kuch na ho paega ,,,,,kyunki,,,,,,,tere dukh zada hai mujhse
.
Ek sawal hai ab tujhse,,,,jahan tu khud nai ana chahta,,, kyu bhej deta hai mujhe tadapane
.
Itna lachaar bana diya insaan ne tujhe,,,, phir bhi main karta hoon bharosa tujhpe
Friday, 23 June 2017
Sawal
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment