Wednesday, 15 August 2018

Radha-Krishna

Chalo tumhe ek kahani sunata hu
.
Ek rani ki ek raja se prem katha btata hu
.
Raja tha ek chor par Rani thi chitchor
.
Raja,,,, Rani par tha madhosh,,, par rani k dil main basta tha ek dar behosh
.
Rani boli Raja se,,,,yakeen kaise karu ek farebi ka,,, tum to thahere ek chor,,,
.
Raja bola Rani ko bhesh hai mera farebi ka,,, par hai dil main basta mere prem ka mor
.
Boli Rani main na aaungi tumhari meethi baaton main,,, kyunki prem hota hai ek fareb,,,,,,
.
Raja soch main pada,,, bola  kaise manau rani ko,,, na jane kaisa hai ye prem ka pher
.
Phir sochke kaafi Raja bola rani ko,,, ki,,
.
Prem to karta hai do dilon ko ek
.
Mit jaati hai sarahdien isse anek
.
Jiske dil me prem base,,,,, base hari hai dil main uske
.
Phir tum kaise kehti ho prem ko fareb
.
Rani boli Raja ko,,, kare jag burai tumhari,,,, kaise manu dil main basta tumhare prem ka mor
.
Raja bola ki jag waalon k liye hu main ek fareb,,, kyunki har accha unhe lagta hai fareb
.
Rani maan gai Raja ki baat ,,,, dono ho gae prem itne madhosh
.
Ki khushbu unke prem ki jag main kuch is kadar phel gai
.
Ki jag unhe poojta hai aaj prem k adhaar pe,,, aur duhaai deta hai unki jab bhi koi prem ko bole hai fareb

No comments:

Post a Comment