Wednesday, 15 August 2018

Yaad Karna Mujhe

Kabhi jo waqt mile to yaad karna mujhe
.
Kaabhi jo dar sataye to yaad karna mujhe
.
Kabhi jo raaton main nind na aae to yaad karna mujhe
.
Kabhi jo tera dil bhar aae to yaad karna mujhe
.
Kabhi jo khushiyaan ruth jae to yaad karna mujhe
.
Kabhi jo tum ruth jao aur koi na manaye to yaad karna mujhe
.
Kabhi jo,,,,, , pyara sa dil hai tera,,,,,, , toot jae to yaad karna mujhe
.
Kabhi jo tumhari gehri aankhon main aansu aae to yaad karna mujhe
.
Kabhi jo jashn ho to na yaad karna mujhe,,,, par jab kabhi tanhaai ho to zarur yaad karna mujhe
.
Kabhi yaad karna mujhe,,, main aaj bhi wahin hu jaha chhoda tha tune mujhe.
.
Kuch Saansien abhi bhi baaki hai mujh main tere naam ki
.
Ab tere diye zakhm naasur ho chale hai,,,ye kambakht dard ab saha na jata mujhe
.
Ab Duhaai dete hai ye zakhm mere,,,, tujhse ek guzarish karne ko,,,, ki,,,
.
Jab Kabhi tujhe waqt mile,,,, to aa jana rakeeb se milane tu mujhe

No comments:

Post a Comment